ho gae jab ek ja kuchh tishnigan-e-sham-e-gham

ho gae jab ek ja kuchh tishnigan-e-sham-e-gham
su-e-mai-khana chala ek karwan-e-sham-e-gham

hijr ke gham se bada duniya mein koi gham nahin
samne aaen kahan hain qatilan-e-sham-e-gham

jab jala lin bastiyan gurgon ne jitni ban padi
parda-e-baatil se nikle hakiman-e-sham-e-gham

aaj to saqi mujhe bas jam-e-khali chahiye
aansuon se bhar chuka hai martaban-e-sham-e-gham

panchhiyon ne apne apne ghonslon mein li panah
suna-suna pad gaya hai aasman-e-sham-e-gham

tishnagi aawargi khana-kharabi bekali
hai bahut wus'at liye ye khandan-e-sham-e-gham

der tak karte rahe baaten teri taswir se
aur karte 'nazr' kis ko raazdan-e-sham-e-gham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close