hamara zauq dildari nahin tha tera chehra bhi akhbari nahin tha na daudaya na rishwat hi talab ki mohabbat kaam sarkari nahin tha hamari untni shab-bhar na baithi nagar mein koi ansari nahin tha hamare ham-nashin kis kaam ke the jo hum mein 'azm-e-sardari nahin tha wafa phir aur wo ek bewafa se ye koi kar-e-hushyari nahin tha ghalat-fahmi hui kuchh 'nazr' tum ko mera maqsad dil-azari nahin tha