ho gae sahrai qismat aazmane ke liye

ho gae sahrai qismat aazmane ke liye
ghar ka aangan chhod aae ghar banane ke liye

ek sajda khair-o-shar ke darmiyan tha faisla
ek pal faisal hua sare zamane ke liye

apne ehsasat kya apni guzar-auqat kya
ashk pine ke liye hain zakhm khane ke liye

shah ke mahlon mein shirin qaid ho kar rah gai
hum hue farhad bas nahren bahane ke liye

aap ne to sari basti mein charaghan kar diya
ek diya kafi tha mera ghar jalane ke liye

thi haqiqat aur hi kuchh khush-gumani aur kuchh
us ne mera nam likkha tha mitane ke liye

ishq walon ka zamane se alag dastur hai
dil ki bazi khelte hain haar jaane ke liye

qafile walo tumhein malum hai raaz-e-safar
rahzan rakkhe gae rasta dikhane ke liye

sare jangal mein lagi hai aag to kis se kahen
hum ne kuchh tinke chune the aashiyane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close