ladta hun bhanwar se abhi duba to nahin hun sagar mein sama jaun wo qatra to nahin hun main apni tarah hun tere jaisa to nahin hun bazar mein bikta hua sauda to nahin hun akkas hai aaina abhi meri ana ka tuta hun magar tut ke bikhra to nahin hun phir se isi maidan mein aaunga palat kar kuchh pichhe sarak aaya hun haara to nahin hun main khwab bhi dekhun to khafa rahte hain kuchh log logo main tumhein khwab dikhata to nahin hun kuchh der ko dam le lo mere pas to aao girti hui diwar ka saya to nahin hun kyon itne khafa ho meri itni si khata par insan hun main koi farishta to nahin hun sar par mere bosida si topi hai meri hai main taj sa darbar mein sajta to nahin hun