ho gai aawaz sasti aur mahnga shor hai baat baithi hai sikud kar aur phaila shor hai ye tera hai ye mera hai aur wo us ka shor hai tukde tukde duniya ne tukdon mein banta shor hai lal ho nila ho narangi ho ya phir ho hara rang alag khud-gharzi ke par sab ka ek sa shor hai ye siyasat ki dukanon mein musalsal bikta hai mazhabon ka khatm ho to sarhadon ka shor hai ab wo mimbar hai hamara jo tumhaara tha kabhi tab tumhaara shor tha to ab hamara shor hai shor se bahar ke ukta ke hum andar aa gae par hamein kya thi khabar andar ziyaada shor hai chikh ke chilla ke ro ro ke ye chup ho jata hai jis ki koi na sune ek aisa bachcha shor hai