hum ab kya bataen kahan tak gae guman ke musafir guman tak gae hisar-e-jahan tak hai dasht-e-ana dikha bas ye manzar jahan tak gae na jazbaat se ye safar tai hua na dil se kabhi ye zaban tak gae ki hasil yahi mausamon ka raha bahaaron ke patte khizan tak gae masafat kisi ki yahin tak rahi makan se chale to dukan tak gae batao qaza par karen aur kya aza se badhen to fughan tak gae jinhen aagahi mein mila aasra na phir wo kisi bhi aman tak gae yunhi bar-e-hasti uthae phiren hue khak to aasman tak gae