ho gai ishq mein badnam jawani apni ban gai markaz-e-alam jawani apni mazi-o-haal hain mahrum-e-sharab-o-naghma hae afsurda-o-nakaam jawani apni aah wo subh jo thi subh-e-bahaar-e-hasti hai usi subh ki ab sham jawani apni ek tarik faza ek ghata sa mahaul kisi muflis ka hai anjam jawani apni unhin rahon mein unhin mast-o-jawan galiyon mein ladkhadai hai bahar-gam jawani apni ek wo din tha ki mai-khanon pe hum bhaari the aaj hai daur-e-tah-e-jam jawani apni iktifa kar ke khanakte hue roz-o-shab par ban gai zist par ilzam jawani apni din hua dhup chadhi dhal gae sae 'altaf' ab hai ek bujhti hui sham jawani apni