ho gai sham chamakte hain diye pani par

ho gai sham chamakte hain diye pani par
hath rakh de meri tapti hui peshani par

garm aahon se jhulasti hai kitab-e-ehsas
nala aata hai meri sokhta-samani par

ek musafir pe sitam dhup ke tauba tauba
ek shajar wo bhi utar aaya hai man-mani par

ab kahan nargisi aankhon mein shararat ka shuur
ab kahan jashn-e-tabassum teri nadani par

mujh se mat mang meri umr-e-gurezan ka hisab
phul hanste hain mere zakhm ki uryani par

aakhirash un ke diyon ko bhi hawa raund gai
naz tha jin ko hawaon ki nigahbani par

sang ko gauhar-e-nayab samajhte rahna
mazarat dida-e-na-khub ki nadani par

saf ashkon ke chhalakne se hua shisha-e-dil
jaise chalti ho koi mauj-e-hawa pani par

kya hue chashm-e-zulekha wo suhane sapne
misr kyon bar hai ab yusuf-e-kan'ani par

chashm-o-abru lab-o-rukhsar jabin-o-kakul
kis ne rakkhi hai har ek shai had-e-imkani par

kufr to aaj bhi hai daulat-e-iman ka raqib
kya musalman bhi qaem hai musalmani par

mere hisse mein rahi sirf ada-e-e'raaz
dard ko dad mili meri ghazal-khwani par

jhil par kaun chala aaya hai 'bazmi' sar-e-sham
aks-e-mahtab larazta sa laga pani par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close