hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein

hun jab se tere halqa-e-faizan-e-nazar mein
duniya simat aai hai mere dida-e-tar mein

hai qulzum-e-idrak ki maujon mein talatum
ab chain mayassar hai safar mein na hazar mein

karta hai koi hurmat-e-kaba ki qaba chaak
ek sahir-e-almut ke jadu ke asar mein

ai gumbad-e-khazra ke makin waqt-e-dua hai
kabe ke musalle hain kalisa ke asar mein

ai mir-e-arab shaukat-o-satwat ki dhali sham
har lamha safar barq-o-sharar khauf-o-khatar mein

girdab ki maujon se sadaf hote hain sairab
kuchh khair ke pahlu bhi hua karte hain shar mein

rakh shisha-e-dil gard-e-kudurat se musaffa
mitti kahin rakhta hai koi kanch ke ghar mein

is shama ki duniya ko zarurat hai bahut aaj
jo shaikh liye baitha hai allah ke ghar mein

'bazmi' tan-e-khaki ka taqaddus nahin matlub
hai azmat-e-gauhar ki bina aab-e-guhar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close