ho gaya aashiq kisi ka ru-e-taban dekh kar phans gaya hun main kisi ki zulf-e-pechan dekh kar kyon tujhe allah ne aisa banaya sang-dil baat bhi zalim na puchhi mujh ko giryan dekh kar ek din mujh ko nazar wo khwab mein jo aa gae chashm raushan ho gai husn-e-farawan dekh kar abru-e-pur-kham ki chalti hai mere sine pe tegh tir lagte hain jigar par nok-e-mizhgan dekh kar hai 'aziz' ab shukr wo gul-ru sukhan sun kar tera qadr kuchh karne laga tujh ko ghazal-khwan dekh kar