ye dil bhi zakhm hai wo gul bhi ghaw rakhta hai tamam shahr talab ka tanaw rakhta hai shikasta shakh ho tum barishon ko do na sada nasheb ab ke ghazab ka bahaw rakhta hai qarib hai to qarib aae dur hai to rahe ye kya ki pas bhi hai aur khichaw rakhta hai wo mo'atabar bhi hamein kar gaya sipurd-e-hawa ye mehrban bhi maujon ki naw rakhta hai dikha ke khwab mujhe nind se jagata hai mujhe bigad ke apna banaw rakhta hai 'ata' se baat karo chandni si shabnam si khunuk nazar hai magar dil alaw rakhta hai