ho juda ai chaara-gar hai mujhko aazar-e-firaq

ho juda ai chaara-gar hai mujh ko aazar-e-firaq
be-visal achchha hua bhi koi bimar-e-firaq

shokhi-e-parda-nashin ki ishwa-sazi dekhna
dil hai badmast-e-visal aur dida bedar-e-firaq

ek nale mein phirega mehr-o-mah ko dhundhta
ai falak mat chhed mujh ko hun aza-dar-e-firaq

wasl thi meri saza hijr intiqam-e-ghair tha
kab hua khu-karda-e-hijran giraftar-e-firaq

koi karta hai khata aur koi pata hai saza
ghair gustakh-e-visal aur main saza-war-e-firaq

dam-ba-dam bijli gire ya nahr-e-khun jari rahe
iltiyam is sine ka kya jo hai afgar-e-firaq

aankh kab lagti hai hile se jo tujh se lag gai
dastan-e-wasl kab sunta hai bedar-e-firaq

dam mein sayyaad ke kyun ki na bulbul mar rahe
daman-e-har-barg-e-gul mein tha nihan khar-e-firaq

sau bahaar aae magar jata hai koi dagh-e-dil
lala-o-gul ka nahin mushtaq khun-bar-e-firaq

ab 'qalaq' thokar se teri ji chuka marne ke baad
aashna-e-wasl kab ho naz-bardar-e-firaq


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close