kal jahan diwar thi hai aaj ek dar dekhiye kya samai thi bhala diwane ke sar dekhiye pur-sukun lagti hai kitni jhil ke pani pe bat pairon ki be-tabiyan pani ke andar dekhiye chhod kar jis ko gae the aap koi aur tha ab main koi aur hun wapas to aa kar dekhiye zehn-e-insani idhar aafaq ki wusat udhar ek manzar hai yahan andar ki bahar dekhiye aql ye kahti duniya milti hai bazar mein dil magar ye kahta hai kuchh aur behtar dekhiye