ho kash ye shuur ki hain mehman kahin

ho kash ye shuur ki hain mehman kahin
ehsas-e-mezban pe na hum hon giran kahen

ye bhi khayal rakhte hain kuchh zakiran-e-haq
kahti na ho kuchh aur amal ki zaban kahin

hum aashna-e-zat wo begana-e-sifat
ye baat dosti ke hai shayan-e-shan kahin

irfan-e-haq ke haq mein mili hai khirad hamein
daulat ye be-panah na ho raegan kahin

chashm-e-talab mein koi samae muhaal ye
husn-e-raza-e-yar nazar aae han kahin

rah-e-wafa mein is liye phirta hun sar-ba-kaf
mil jae kab wo dushman-e-aram-e-jaan kahin

teri talab nahin hai meri jaan ki ja sake
leta hai is tarah bhi koi imtihan kahin

hum rah-rawan-e-shauq hain manzil ki fikr kya
le jaen naqsh-e-pa tere hum ko jahan kahin

karte nahin kisi pe ayan hum ki ai 'salim'
darman-e-zindagi ho ye dard-e-nihan kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close