mulamma ki farawani bahut hai magar har samt virani bahut hai haqiqat hai ye ab azhar-minashshams farogh-e-fitna-samani bahut hai falak par hain tasawwur ki kamanden amal-paira tan-asani bahut hai nahin hai saya-e-diwar sar par ghurur-e-zill-e-subhani bahut hai kahani hai ye laila-e-khirad ki ki ye fitnon ki diwani bahut hai charagh-e-abla-pai hai raushan faza-e-dasht-e-nurani bahut hai badalta hai koi sau rup badle wo surat jaani pahchani bahut hai nazar sahil pe rakh patwar par hath ye gham kaisa ki tughyani bahut hai khuda par rakh bharosa azm dil mein bala se raat tufani bahut hai 'sahar' aasan nahin hum ko mitana natije mein pashemani bahut hai