ho ke aaina muqabil bhi raha rad ki nahin darmiyan aaj bhi hai hijr ki sarhad ki nahin dil-baran yunhi na thi kufr-parasti dil ki ftina-e-subh-e-qayamat hai tera qad ki nahin han bata wahm se katrae hue husn-e-yaqin nang-e-tahqiq hui rasm-e-ab-o-jad ki nahin dil se us rashk-e-charagh-e-harm-o-dair ke baad hai wahi wahshat-e-tariki-e-mabad ki nahin zindagi aaj talak meri tamanna-gah mein tere kuchh kaam bhi aai hai khushamad ki nahin hairaten aap bhula baithi thin tai kar ke jinhen aaina-khanon mein raij hai wo abjad ki nahin ishq mein kaun muqabil tha mere kis pe khule mansab-e-qais ki khwahan hai ye masnad ki nahin