shahr ke shahr basate hue mar jate hain kar-e-duniya ko chalate hue mar jate hain log bichhden to basa lete hain duniya phir se hum to bas hath chhudate hue mar jate hain jab se tu rah ki diwar samajhta hai hamein hum teri rah mein aate hue mar jate hain chand chehron ke liye did bacha rakkhi thi ab to hum palken bichhate hue mar jate hain jo tere nam se ashaar kahe the hum ne hum wo ashaar sunate hue mar jate hain wo samajhte hain ki hum aankhon mein gum hain 'bushra' un se hum nazren milate hue mar jate hain