ho ke aashiq jaan marne se churae kis liye mard-e-maidan jo na ho maidan mein aae kis liye jo dil-o-iman na din nazr un buton ko dekh kar ya-khuda wo log is duniya mein aae kis liye hai ye andaz-e-haya aur tarz-e-tamkin kyun nahin jo na howe chor wo aankhen churae kis liye dekhiye kis jannati ke aaj khulte hain nasib tegh kyun tole hain ye chille chadhae kis liye ungliyan apne par uthwani na hon manzur to wo kisi ko aam mahfil se uthae kis liye us ke pech-o-kham se jite-ji nikalna hai muhaal hazrat-e-'kaifi' tum is kuche mein aae kis liye