husn-e-azal ka jalwa hamari nazar mein hai jo tur par hua tha dil-e-dida-war mein hai dair o haram mein kis liye aawara-gardiyan jis ki tujhe talash hai wo dil ke ghar mein hai jo dekhne ki aankh hai tujh ko nahin mili wo nur qad mein warna shajar mein hajar mein hai khamoshiyon mein mahfil-e-anjum ki us ko dekh hangama-mast kyun tu numud-e-sahar mein hai dekha hai aur phir nahin aaya nazar tujhe wo husn wo jalal jo shams o qamar mein hai us ko natije illat-e-ghai ki is ko dhun farq is qadar hi be-khabar o ba-khabar mein hai dhunda hai jis ne us ne hi paya suna nahin likkha hua ye hukm qaza-o-qadar mein hai han han khuda khuda hi hai aur hai bashar bashar is uqde ka jo hal hai wo qalb-e-bashar mein hai wo bhi to hain nazara-e-kul juz mein hai jinhen poshida raaz-e-did to husn-e-nazar mein hai hai ishq juzw-e-la-yatajazza yaqin jaan ye qimat-e-majaz-o-haqiqat khatar mein hai kya shauq-e-did tujh pe to ghaalib hai lutf-e-did jo baat tere dil mein hai apni nazar mein hai nikle na phans ke gesu-e-pur-pech-o-kham se dil sahil pe khak pahunche jo kashti bhanwar mein hai ulfat hai kis ki kaisi mohabbat kahan ka ishq madum tu to fikr-e-dahan-o-kamar mein hai naqis thi ibtida to hai anjam-e-ishq bhi be-rabti mubtada mein jo thi wo khabar mein hai 'kaifi' masih-e-sher hain ahbab aur bhi ek tujh se jaan-e-taza nahin is dhachar mein hai