ho ke betab badal lete the aksar karwat ab ye hai zoaf ki qabu se hai bahar karwat hijr se badh ke shab-e-wasl aziyyat hai mujhe ghair ki yaad dilati hai teri har karwat rind bimar raha mohtasib-e-shara se tez is qadar jald are phenk ke saghar karwat chutkiyan hijr mein leti hai shikan bistar ki mere pahlu mein chubho deti hai nashtar karwat shokhiyan hain ki bane hijr ki shab wasl ki raat so rahe pher ke munh aap badal kar karwat baithna un ka nazakat se daba kar sina phir ye kahna ki na lena tah-e-khanjar karwat teri thokar se na ulte kahin wo takhta-e-qabr le na khwabida koi fitna-e-mahshar karwat har taraf kante bichhe hain shikan bistar ke hum ko mushkil hai badalna sar-e-bistar karwat unhen munh pher ke sone nahin deta hun 'riyaz' wasl ki raat mujhe kyun na ho dubhar karwat