mera to waqt ghar se kuch hi ka hai sawal sare ghar ki zindagi ka hai yahan to dosti nibhe na dushmani zamin hai jis ki aasman usi ka hai taras na jae raqs-o-ram ko bhi kahin wo dasht jis pe saya aadmi ka hai jo din na guzre wo bhi din guzarna hamara kya ye saneha sabhi ka hai ye imtihan garan hai aur bahut garan magar ye karb to kabhi kabhi ka hai mere shikast-ju shikast kha gae khamosh hun ki din hi khamushi ka hai har ibtida ko intiha ka hai guman har intiha ko gham kisi kami ka hai