ho ke sar-ta-ba-qadam aalam-e-asrar chala jo chala mai-kada-e-ishq se sarshaar chala hamrah-e-husn ek amboh-e-kharidar chala sath is jins ke bazar ka bazar chala na hua rah-e-mohabbat mein koi ohda-bara jo subuk-dosh hua wo bhi giran-bar chala un ka jo haal ki pahle tha wahi haal raha tere gham-kushton se iqrar na inkar chala aasman ho ki qayamat ho ki ho tir-e-qaza chaal us fitna-e-dauran se har ek bar chala zauq-e-nazzara usi ka hai jahan mein tujh ko dekh kar bhi jo liye hasrat-e-didar chala husn-e-kafir se kisi ki na gai pesh 'firaq' shikwa yaron ka na shukrana-e-aghyar chala