kya kya guman na the mujhe apni udan par bazu jo shal hue to gira hun chatan par khuddariyon se kaun ye puchhe ki aaj tak kitne azab hum ne liye apni jaan par ab ke na jaane rut ko nazar kis ki kha gai ek bar bhi padi na dhanak aasman par kashti mein so gae jo unhen ye khabar kahan kitna hai aaj zor-e-hawa baadban par khush-fahmiyon ke daur se pahle jo thi kabhi wo bartari kahan hai yaqin ko guman par ek be-karan khala hai nigahon mein har taraf yani zamin par hain na hum aasman par 'khawar' bhi zindagi se nabard-azma hua kya shakhs tha jo khel gaya apni jaan par