ho KHumar itna ki haalat rahe sarshaari ki

ho khumar itna ki haalat rahe sarshaari ki
ye jo bad-masti hai tauhin hai mai-khwari ki

ab to baqi na raha koi shikayat ka jawaz
us ne rasman jo musalsal meri gham-khwari ki

khwahishen dil mein wo fauran hi utha deta hai
jab bhi tauba ki mere nafs ne ayyari ki

muntazir kab se hain hum subh ke aasar nahin
jaane kab raat dhale aur chhate tariki

yun guman tha ki meri man hi lega lekin
ek diwar sar-e-rah thi khuddari ki

bas ye kar sakte the hum aur bhala kya karte
sincha ashkon se chaman khun se gul-kari ki

yun tah-e-zat hasin khwabon ke manzar pa kar
aarzu ab na rahi auron ki gham-khwari ki

tum to kahte the giraftar chala aayega
us ne pahni nahin zanjir wafadari ki

hain ghazal mein meri pinhan kai nukte 'adil'
hai kahin lahja naya aur kahin bariki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close