gul-ruKHon ki KHabar nahin milti

gul-rukhon ki khabar nahin milti
kyunki baad-e-sahar nahin milti

wo jo chahat thi nisbaton mein kal
aaj dhundo magar nahin milti

kho gaya hun zaman makan mein ab
qadr-e-sham-o-sahar nahin milti

hai jo lamha usi ko jina hai
us se aage khabar nahin milti

zindagi ke musafiron ko kyon
wusat-e-rahguzar nahin milti

chashm-e-bina ki nazuki jaanun
sab ko aisi nazar nahin milti

hun azal se rawan-dawan 'adil'
phir bhi manzil magar nahin milti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close