ho na betab ada tumhaari aaj naz karti hai be-qarari aaj ud gaya khak par ghubar apna ho gai khak khaksari aaj naza hai aur roz wada-e-wasl hai bahar-taur dam-shumari aaj mana-e-qatl kyun hua dushman jaan hi jaegi hamari aaj tere aate hi dam mein dam aaya ho gai yas umid-wari aaj koi bhinche hai dil ko pahlu mein kis ne ki us se ham-kinari aaj us ke shikwe se hai asar zahir kuchh to kahti hai aah-o-zari aaj ek nai aarzu ka khun hua hum hain aur taza sogwari aaj chhut gae mar ke nesh-e-hijran se kaam aaya hai zakhm-e-kari aaj bekasi kyun hai nash par majma kya hui tu meri piyari aaj bhule hazrat nasihat ai naseh hai kisi ki to yaadgari aaj 'momin' us but ko dekh aah bhari kya hua laf-e-din-dari aaj