ye sumbul-o-nasrin mere hain ye sehn-e-gulistan mera hai main azm-e-numu-e-gulshan hun inam-e-bahaaran mera hai main farq bataun kis kis ko ehsas ki jab taufiq nahin kaif-e-gham-e-dauran mera hai lutf-e-gham-e-jaanan mera hai ai mausam-e-gul tashwish na kar arbab-e-khirad ki baaton par ye panja-e-wahshat mere hain har tar-e-gareban mera hai ahbab tabahi par meri maghmum na hon matam na karen ye gardish-e-dauran meri hai wo fitna-e-dauran mera hai ai naseh-e-mushfiq! rahne de ashkon pe mere tanqid na kar ye dida-e-giryan mere hain wo gosha-e-daman mera hai tarikh-e-chaman likhne ke liye kyun hath badhe hain gulchin ke aaghaz-e-gulistan mera tha anjam-e-gulistan mera hai shikwon ki zafar-yabi pe mujhe ahbab mubarakbaad na den wo nichi nigahen meri hain wo husn-e-pashiman mera hai