ho rahi hai raat-din har samt se yalghaar ab

ho rahi hai raat-din har samt se yalghaar ab
lad raha hai bas akela hi sipah-salar ab

mujh ko jis ki justuju thi mera dushman mil gaya
main hun apne aap hi se barsar-e-paikar ab

ek markaz par simat kar rah gai hai zindagi
jazb hai diwar hi mein saya-e-diwar ab

aap darwazon pe dastak de rahe hain kis liye
jaiye is shahr mein koi nahin bedar ab

bach ke tufan se nikalne ki koi surat nahin
dubti kashti ka kar len aakhiri didar ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close