karam tera ki soz-e-jawedani le ke aai hun magar ye kya ki main ek umr-e-fani le ke aai hun ye kis kafir ki mahfil hai ki jis mein nazr karne ko main dil ki dhadkanen aankhon ka pani le ke aai hun ye duniya ye khulus-o-ishq ke rang-afrin naghme bayaban mein gulistan ki kahani le ke aai hun bhadak kar shoala ban jae ki bujh kar rakh ho jae hawa ki zad pe sham-e-zindagani le ke aai hun agar chahun ye duniya phunk dalun apne naghmon se ki main sanson mein shoalon ki rawani le ke aai hun mera dil bhi hai mahsusat ka aatish-kada aakhir ajab kya hai jo zauq-e-sher-khwani le ke aai hun ziya-andoz hun ek aasmani nur se 'najma' zamin par chand taron ki jawani le ke aai hun