ho rahi thi guftugu aaj mumkinat par la ke phul rakh diya us ne mere hat par hum sada nibhaenge chhod kar na jaenge aa gai hamein hansi aaj un ki baat par aap hi bataiye hum se mat chhupaiye aap bhi to the miyan ja-e-wardat par hijr ki shaben sabhi subhen sari dard ki kitna bojh rakh liya hum ne apni zat par sab niras kyun hue dil udas kyun hue sare mil ke sochiye in muamalat par koi kya samajh sake un ki ahmiyat hai kya ghaur kar raha hun main aaj jin nikat par