masarrat chiz kya hai ranj kya hai ye sara khel ek ehsas ka hai bahaar-e-zindagi kahte hain jis ko kisi ke ek tabassum ki ziya hai khata-e-bewafai aur hum se yaqinan aap ko dhoka hua hai abhi badli nahin insan ki fitrat ye ab bhi dushman-e-mehr-o-wafa hai kisi ke jaur ka had se guzarna hamari khamushi ki intiha hai kisi ki bazm tak ho kya rasai muqaddar hi hamara na-rasa hai use kya wasta dair-o-haram se wo jis ne raaz-e-ulfat pa liya hai hazaron rahaten us par nichhawar tumhaara gham jise ras aa gaya hai kabhi sunte nahin hain aap warna hamare dil mein bhi ek muddaa hai main un ko pujta hun jaan se dil se wo jin ke dil mein ehsas-e-wafa hai talatum-khez maujon se guzar ja lab-e-sahil khada kya sochta hai hamein mutlaq nahin ehsas 'asi' hamari zindagi be-asra hai