ho rang-e-shafaq jaise rukh-e-sham mein utra wo meri nigahon ke dar-o-baam mein utra wa hone lage sare ummidon ke dariche jab tera tasawwur dil-e-na-kaam mein utra jab khun-e-jigar ghol diya hum ne sukhan mein tab ja ke kahin hai rag-e-hangam mein utra jab jazba-e-dil safha-e-qirtas pe aaya tab aks-e-darun shisha-e-paigham mein utra jab sara safar kat gaya be-yar-o-madadgar ek hath falak se hai tab anjam mein utra