jina muhaal ho gaya danaiyon ke sath aaya khayal-e-yar bhi ruswaiyon ke sath aankhon se ashk phisle to daman bhigo gae yaadon ka qafila bhi tha shahnaiyon ke sath rahte hain hum kahan ye pata hum se puchhiye yaadon ki us haweli mein parchhaiyon ke sath ek dastan raqam hai in aankhon mein zabt ki utre to koi fikr ki gahraiyon ke sath unchi imaraton ne falak chhu liya magar rishte zamin pe rah gae angnaiyon ke sath