hoga kam apna fasla yunhi kat hi jaega rasta yunhi shokhiyan teri yaad aati hain phir se aa kar mujhe sata yunhi main jalati rahi wafa ke charagh aur bujhati rahi hawa yunhi jab ki qismat mein raushni hi nahin kyun ye khurshed bhi uga yunhi us ki aankhen to mai ka sagar hain ai mere dil tu dub ja yunhi phul jhadte hain us ki baaton se wo nahin hota lab-kusha yunhi main ne suraj ka sath paya hai hai 'munawar' nahin ziya yunhi