andhere se ziyaada raushni taklif deti hai zamane ko meri zinda-dili taklif deti hai bahut achchha tha jab na-ashna tha husn duniya se mujhe ab hosh-mandi aagahi taklif deti hai wo aksar chhed dete hain mere derina zakhmon ko na jaane kyun unhen meri khushi taklif deti hai jo apne sinon mein dil ki ba-ja-e-sang rakhte hain unhen hum ahl-e-dil ki sarkhushi taklif deti hai ho takmil-e-hawas jis dosti ka muntaha ai dil mujhe wo rasm-o-rah-e-ashiqi taklif deti hai khuda ke fazl se mujh ko sabhi kuchh mil gaya lekin mujhe is bazm mein un ki kami taklif deti hai 'sahar' wabasta meri shairi hai un ki yaadon se kabhi pur-kaif hoti hai kabhi taklif deti hai