hogi KHabar jo humne suni besh-o-kam ghalat

hogi khabar jo hum ne suni besh-o-kam ghalat
khao na bar-bar khuda ki qasam ghalat

zulfon se kuchh laga hai pata kuchh labon se aaj
hota nahin qayas jo karte hain hum ghalat

deta hai kyon fareb ki main bhed pa gaya
mujh par karam ghalat hai 'adu par sitam ghalat

aate hain mai-kade se wo saghar liye hue
nikla janab-e-shaikh pe aakhir bharam ghalat

sauda yahi hai dida-o-dil ko karun kharab
ai ashk-e-khun barae-khuda tu na tham ghalat

pahuncha use ye haal mera baad-e-subh-dam
leta hai dam mariz-e-jafa dam-ba-dam ghalat

uljha hai aisa dil ki na niklega phir kabhi
hoti hai un ki zulf-e-duta kham-ba-kham ghalat

qibla bana ke lae the roz-e-azal se hum
sajda kiya na tha tujhe hum ne sanam ghalat

tera khayal hijr mein is ka anis hai
hota hai teri yaad mein 'shaida' ka gham ghalat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close