jab se chaman mein apna hua aashiyan udas

jab se chaman mein apna hua aashiyan udas
fasl-e-bahaar mein bhi raha gulsitan udas

bazm-e-nashat aish-o-tarab ke maal se
hona tha ho raha hai dil-e-shadman udas

allah re ye daur-e-taraqqi ka madd-o-jazr
hai irtiqa-e-aql se sara jahan udas

ek jam-e-iltifat ki khatir ai saqiya
takte rahe hain teri taraf mai-kashan udas

wo kya payam-e-zist hamein denge dosto
jin ke khayal-o-fikr ki hai dastan udas

ojhal nazar se manzil-e-maqsud dekh kar
ek mir-e-karwan se hua karwan udas

ho kar sharik-e-bazm to 'hamdam' kabhi tha khush
ab jaane kya hua hai ki wo hai yahan udas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close