hogi wo dil mein jo thani jaegi kya hamari baat mani jaegi dhal chuki hai ab jawani jaegi ye sharab-e-arghawani jaegi baad-e-tauba aatish-e-sayyal-e-khum mere ghar se ho ke pani jaegi khizr yunhi gum rahenge umr-bhar yunhi umr-e-jawedani jaegi tegh hi kya hath mein qatil ke thi ai hina tu bhi to sani jaegi aae tare hijr ki shab kuchh nazar ab bala-e-asmani jaegi arsh par hai khush-jamalon ka mizaj kyun kar un ki lan-tarani jaegi khidmat-e-maikhana kar le warna shaikh raegan ye zindagani jaegi maut se bad-tar budhapa aaega jaan se achchhi jawani jaegi shokhiyan kahti hain khul khelenge wo ab haya ki pasbani jaegi aag ban kar jam mein aaegi mai zamzami mein ho ke pani jaegi bosa-e-gesu se hain chin-ba-jabin raat-bhar kya sargirani jaegi bole sun kar dil ke pamali ka haal kis gali ki khak chhani jaegi jaan se badh kar ise rakhte aziz kya samajhte the jawani jaegi sath lae hain qafas se na-tawan jate jate na-tawani jaegi nale karna sikh le ai andalib ab ye tarz-e-naghma-khwani jaegi shaikh ne mangi hai apni umr ki mai-kade se ab purani jaegi ja chuke hain aap kal dushman ke ghar aaj marg-e-na-gahani jaegi pine aaen to farishta-khu 'riyaz' hur ke daman mein chhani jaegi