mitti ki imarat saya de kar mitti mein hamwar hui virani se ab kaam hai aur virani kis ki yar hui har patti bojhal ho ke giri sab shakhen jhuk kar tut gain us barish hi se fasl ujdi jis barish se tayyar hui dar dar ke qadam yun rakhta hun khwabon ke sahra mein jaise ye reg abhi zanjir bani ye chhanw abhi diwar hui chhuti hai zara jab tan ko hawa chubhte hain ragon mein kante se sau bar khizan aai hogi mahsus magar is bar hui ab ye bhi nahin hai bas mein ki hum phulon ki dagar par laut chalen jis rahguzar par chalna hai wo rahguzar talwar hui ek ghuncha sahar ke arse mein aisa bhi tha jo kah guzra is arz-e-khush-guftaran par takhliq-e-jars be-kar hui hum sath chale the suraj ke so is ka ye khamyaza hai suraj to nikal kar dur gaya ab apni sham ghubar hui wo nale hain be-tabi ke chikh uthta hai sannata bhi ye dard ki shab malum nahin kab tak ke liye bedar hui ab tez hawa kitni hi chale ab garm faza kitni hi rahe sine ka zakhm charagh bana daman ki aag bahaar hui