hona hai gham ko khak-basar jagte raho milti hai zindagi ki khabar jagte raho gardish wida-e-hijr hai aur muzhda-e-visal gardish mein hain ye sham-o-sahar jagte raho dekhoge sehn-e-bagh mein aab-e-rawan ka josh laenge nakhl barg-o-samar jagte raho sine ko chaak chaak karo dil ko lakht lakht aaenge ghar mein shams-o-qamar jagte raho shisha uthao jam mein dhaalo ghazal kaho hota hai qafilon ka guzar jagte raho dekhoge chashm-e-nargis-e-jadu ba-kaam-e-dil dekhoge zulf ta-ba-kamar jagte raho raqs-e-butan bhi hoga yahin raqs-e-jam bhi aankhon mein bhar ke josh-e-nazar jagte raho waqt-e-sahar hai waqt-e-munajat-o-sair-e-gul sone mein hai ziya-e-sahar jagte raho