hone ka apne wahm sa hota raha mujhe ya'ni sarab-e-zat dubota raha mujhe ek dukh ki jis ne sang ko dil sa bana diya ek ashk sari raat bhigota raha mujhe achchhe dinon ke khwab ki tabir ke liye main us ko jagta hun jo sota raha mujhe tere hi dukh ki chhedi gai ragni hun main tera hi rag dhun mein pirota raha mujhe awwal badan ka bojh hai sani hai dil ka bar dukh hai wo ek panw jo dhota raha mujhe hargiz main kam padun na ziyaada use lagun ek shakhs is hisab se khota raha mujhe mere dukhon mein mil gae duniya ke sare dukh dukh khud mein ek umr samota raha mujhe jis ne kunwar shiwen ka dibacha padh liya baqi bachi kitab mein rota raha mujhe