zindagi ka kuchh sahaara chahiye hath mein daman tumhaara chahiye dil ko yunhi raushni milti nahin nok-e-mizhgan par sitara chahiye muskura denge yahi aansu mere gosha-e-daman tumhaara chahiye hum badal sakte hain nazm-e-kaenat teri jaanib se ishaara chahiye chashm-e-‘shair’ yun na paegi sukun jalwa jalwa aashkara chahiye