hone ki ek jhalak si dikha kar chala gaya

hone ki ek jhalak si dikha kar chala gaya
kholi thi hum ne aankh ki manzar chala gaya

kya khud ko dekhne ka ajab shauq tha ki wo
chup-chap uth ke su-e-samundar chala gaya

kin daeron mein ghumte hain ab khabar nahin
kyun hath se wo chaak sa chakkar chala gaya

pahle qadam pe khatm hua qissa-e-junun
pahla qadam hi dasht barabar chala gaya

hum bhi usi ke sath gae hosh se 'said'
lamha jo qaid-e-waqt se bahar chala gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close