jab samaat teri aawaz talak jati hai jaane kyun panw ki zanjir chhanak jati hai phir usi ghaar ke asrar mujhe khinchte hain jis taraf sham ki sunsan sadak jati hai jaane kis qarya-e-imkan se wo lafz aata hai jis ki khushbu se har ek satr mahak jati hai mu-qalam khun mein dubota hai musawwir shayad aankh ki putli se taswir chipak jati hai dastanon ke zamanon ki khabar milti hai aaine mein wo pari jab bhi jhalak jati hai khushk patton mein kisi yaad ka shoala hai 'said' main bujhata hun magar aag bhadak jati hai