hone ko yun to shahr mein apna makan tha nafrat ka regzar magar darmiyan tha lamhe ke tutne ki sada sun raha tha main jhapki jo aankh sar pe naya aasman tha kahne ko hath bandhe khade the namaz mein puchho to dusri hi taraf apna dhyan tha allah jaane kis pe akadta tha raat din kuchh bhi nahin tha phir bhi bada bad-zaban tha shole ugalte tir baraste the charkh se saya tha pas mein na koi saeban tha sab se kiya hai wasl ka wada alag alag kal raat wo sabhi pe bahut mehrban tha munh-phat tha be-lagam tha ruswa tha dhit tha jaisa bhi tha wo dosto mahfil ki jaan tha