hone lagti hai dil-o-jaan mein jalan raat dhale jab bhi lau dete hain khwabon ke badan raat dhale hansti kaliyon ne to singar kiya tha lekin jal bujha kyun tere wadon ka chaman raat dhale nur hai dida-e-dil mein to zara ghaur se dekh zakhm ke chand ko lagta hai gahan raat dhale chandni raat ke tabut mein rakh de us ko dil ne pahna hai andheron ka kafan raat dhale dhalti jati hai nigahon ke piyalon mein sharab jab bhi do jismon ka hota hai milan raat dhale gunguna uthta hai tanhai ka kangan rahi jagti hai junhi yaadon ki dulhan raat dhale