mere khaton ko jalane se kuchh nahin hoga hawa mein rakh udane se kuchh nahin hoga samajhne wale to dil ki zaban samajhte hain mohabbaton ko jatane se kuchh nahin hoga sitam-zarifi rahi waqt ki jo dil tuta kisi pe dosh lagane se kuchh nahin hoga nai udan ki khatir paron ko tol zara qafas mein shor machane se kuchh nahin hoga koi to tir nishane pe thik se pahunche hawa mein tir chalane se kuchh nahin hoga nae gulon ko khilao dil-e-zamin pe tum dil ye kabab banane se kuchh nahin hoga nai umid nae raste talash karo hamesha marsiya gane se kuchh nahin hoga badan se ruh nikal bhi chuki hai ab hamdam fuzul ashk bahane se kuchh nahin hoga zaban se baat kai sach nikal gai ho gar bahane lakh banane se kuchh nahin hoga tumhaare jaane se patthar mein dhal chuki 'sima' tumhaare laut ke aane se kuchh nahin hoga