honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun

honi hun kisi haal mein talne ki nahin hun
main waqt ke hathon se nikalne ki nahin hun

ye baat sahi tut ke bikhri to bahut hun
ye baat ghalat hai ki sambhalne ki nahin hun

lagta hai jaden phail gai hain meri tujh mein
ukhdi to kahin phulne-phalne ki nahin hun

pahchan zamane mein yahi hai meri ab main
kirdar kahani mein badalne ki nahin hun

main hun pas-e-manzar ki bhi takmil mein shamil
bas is liye manzar se nikalne ki nahin hun

be-khauf jo sach bolta rahta hai hamesha
wo aaina apna main badalne ki nahin hun

wahshat hai bahut khun mein 'nusrat' isi dar se
sahra ki taraf ja ke tahalne ki nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close