ishq mein majnun-o-farhad nahin hone ke ye nae log hain barbaad nahin hone ke ye jo dawe hain mohabbat ke abhi hain jaanan aur do-chaar baras baad nahin hone ke kya kaha tod ke laoge falak se tare dekho in baaton se hum shad nahin hone ke naqsh hain dil pe mere ab bhi tumhaare wade khair chhodo wo tumhein yaad nahin hone ke ghar liye phirti hun har waqt tumhaare pichhe tum magar wo ho ki aabaad nahin hone ke mana hai rasm-o-riwajon se baghawat karna ye sabaq mujh ko magar yaad nahin hone ke hum ne khud pahni hai 'nusrat' ye wafa ki zanjir hum to khud hi kabhi aazad nahin hone ke