hont khulen to nikle wah duniya ek tamasha-gah rashk-e-falak hai ye basti har chehra hai mahr o mah ab ke hath wo khela hai danw par hain izz-o-jah rang bahut se aur bhi hain har shai kab hai safed o siyah sath kisi ko chalna hai sujh gai hai mujh ko rah ab ke bahaar ki yurish hai gul-bute hain us ki sipah pagal hain jo sahra se mang rahe hain aab o giyah kaam hazaron karne hain kya kya rakkhen pesh-e-nigah us ki aamad aamad hai dil aankhen hain chashm-ba-rah garmi si ye garmi hai mang rahe hain log panah